Qadr Bilgrami

jo dagh hai ishq-e-dil-nashin ka jo dil-nashin hain dil-e-hazin ka

Qadr Bilgrami

Bilgram, Uttar pradesh, India

1883-1894

jo daaġh hai ishq-e-dil-nashīñ jo dil-nashīñ haiñ dil-e-hazīñ

vahī hai tamġha mirī jabīñ vahī sulaimāñ mire nagīñ

ga.ī na mar kar bhī kīna-ḳhvāhī milā ke miTTī meñ tabāhī

mirī tarah se kahīñ ilāhī falak bhī paivand ho zamīñ

taḌap na pūchho dil-e-hazīñ kahūñ maiñ tum se kahāñ kahāñ

usī se hai gardish āsmāñ usī se hai zalzala zamīñ

jahān sar par uThā rahā huuñ junūñ meñ dhūmeñ machā rahā huuñ

jo dasht meñ ḳhaak uḌā rahā huuñ dimāġh gurdoñ pe hai zamīñ

karam meñ ham ko ġhazab meñ ham ko kiyā jo mumtāz sab meñ ham ko

tumhārī dushnām-o-lab meñ ham ko maza milā zahr-o-añgbīñ

ye lāġharī ab hai ḳhār-e-dāman ki uTh nahīñ saktā bār-e-dāman

jo paañv apnā hai tār-e-dāman to haath hai taar āstīñ

miyān-e-mahshar malālatoñ se maiñ sham.a huuñ dil hālatoñ se

ki paañv tak sau ḳhijālatoñ se araq bahā hai mirī jabīñ

suḳhan ko 'qadr' auj de zabāñ se ki tuḳhm-e-afshāñ ho lā-makāñ se

kiyā hai 'nāsiḳh' ne āsmāñ se buland-tar rutba is zamīñ

Top Urdushayar.com