āñkhoñ  ko  ashk-bār  kiyā  kyā  burā  kiyā
yuuñ  ġham  ko  āshkār  kiyā  kyā  burā  kiyā
ik  umr  intizār  kiyā  kyā  burā  kiyā
va.ade  kā  e'tibār  kiyā  kyā  burā  kiyā
jab  vasl-e-yār  ziist  kā  unvāñ  na  ban  sakā
ġham  ko  gale  kā  haar  kiyā  kyā  burā  kiyā
sehn-e-chaman  meñ  dhuum  hai  fasl-e-bahār  kī
dāman  ko  taar  taar  kiyā  kyā  burā  kiyā
aish-o-nishāt  se  rahe  mahrūm  umr-bhar
tanhā.iyoñ  se  pyaar  kiyā  kyā  burā  kiyā
ham  ne  kisī  ke  husn-e-tabassum  ko  dekh  kar
qalb-o-jigar  nisār  kiyā  kyā  burā  kiyā
dil  lūTne  ke  ba.ad  'nazar'  kah  rahe  haiñ  vo
haañ  ham  ne  be-qarār  kiyā  kyā  burā  kiyā