tum  ko  nahīñ  hai  yaad  abhī  kal  kī  baat  hai
bāham  thā  ittihād  abhī  kal  kī  baat  hai
manzil  thī  ek  jis  pe  baham  gāmzan  rahe
bilkul  na  thā  tazād  abhī  kal  kī  baat  hai
ik  raushnī  thī  dil  meñ  bahut  pāk-o-sāf  the
aisā  na  thā  inaad  abhī  kal  kī  baat  hai
buniyād  ḳhud  hī  aap  ne  rakkhī  nifāq  kī
shīr-o-shakar  the  shaad  abhī  kal  kī  baat  hai
sehn-e-chaman  meñ  apne  'nazar'  thī  ajab  bahār
thā  daur-e-abr-o-bād  abhī  kal  kī  baat  hai