ab  hastī-e-ḳharāb  kā  aalam  sañvar  gayā
ik  nashsha-e-shabāb  thā  sar  se  utar  gayā
guzrā  huuñ  rāh-e-ishq  meñ  manzil  se  be-niyāz
āvāz  un  kī  paa.ī  jahāñ  bhī  Thahar  gayā
muḌ  muḌ  ke  dekhte  haiñ  mujhe  rahguzar  pe  log
maiñ  dekhtā  huuñ  zo.am-e-mohabbat  kidhar  gayā
qadmoñ  ko  us  ke  chhūtā  hai  ḳhud  maqsad-e-hayāt
jo  manzil-e-nashāt  kī  had  se  guzar  gayā
anjām-e-ishq  dekh  rahā  huuñ  'nazar'  se  aaj
maiñ  be-ḳhudī  meñ  apne  hī  saa.e  se  Dar  gayā