furqat  kā  fusūñ  phail  gayā  shaam  se  pahle
anjām  nazar  aatā  hai  anjām  se  pahle
ham  jaur-o-sitam  sah  ke  bhī  shikva  nahīñ  karte
aur  morid-e-ilzām  haiñ  ilzām  se  pahle
is  vāste  siine  se  lagāyā  hai  tirā  ġham
miltī  nahīñ  rāhat  kabhī  ālām  se  pahle
ai  dost  gavārā  hai  mujhe  ishq  meñ  sab  kuchh
kuchh  aur  bhī  kah  lījiye  badnām  se  pahle
taslīm  hai  rusvā.ī  sabab  is  kā  huā  kaun
āñkhoñ  meñ  namī  aa.ī  tire  naam  se  pahle
kho  baiThā  huuñ  sab  hosh-o-ḳhirad  ek  nazar  meñ
aisā  hī  ḳhumār  aayā  mujhe  jaam  se  pahle
dīdār  ke  tālib  the  'nazar'  ho  ga.e  mahrūm
dīvār  thī  ashkoñ  kī  dar-o-bām  se  pahle