yād-e-māzī  ye  kyā  kiyā  tū  ne
hañste  hañste  rulā  diyā  tū  ne
muskurā  kar  mizāj  kyā  pūchhā
dukhtī  rag  ko  dabā  diyā  tū  ne
rañg-o-bū  meñ  bhī  dilkashī  na  rahī
rañg  aisā  chaḌhā  diyā  tū  ne
marhabā  ai  ḳhayāl-e-zulf-e-butāñ
ujḌe  ghar  ko  basā  diyā  tū  ne
sub.h-e-ummīd  shukriya  terā
tīrgī  ko  miTā  diyā  tū  ne
ġham  meñ  aayā  nazar  nashāt  kā  rañg
ham  ko  jiinā  sikhā  diyā  tū  ne
jis  'nazar'  se  milā  thā  pyaar  kabhī
us  'nazar'  se  girā  diyā  tū  ne