Aasi Ghazipuri

tere kuche ka rahnuma chahta hun

Aasi Ghazipuri

Sikandrabad, Uttar pradesh, India

1834-1917

tire kūche rahnumā chāhtā huuñ

magar ġhair naqsh-e-pā chāhtā huuñ

jahāñ tak ho tujh se jafā chāhtā huuñ

ki maiñ imtihān-e-vafā chāhtā huuñ

ḳhudā se tirā chāhnā chāhtā huuñ

merā chāhnā dekh kyā chāhtā huuñ

kahāñ rañg-e-vahdat kahāñ zauq-e-vaslat

maiñ apne ko tujh se judā chāhtā huuñ

barābar rahī hadd-e-yār-o-mohabbat

kisī ko maiñ be-intihā chāhtā huuñ

kahāñ hai tirī barq-e-josh-e-tajallī

ki maiñ sāz-o-barg-e-fanā chāhtā huuñ

vo jab kho chuke mujh ko hastī se apnī

to kahte haiñ ab maiñ milā chāhtā huuñ

junūn-e-mohabbat meñ pand-e-adū kyā

bhalā maiñ kisī burā chāhtā huuñ

tabī.at mushkil-pasandī to dekho

hasīnoñ se tark-e-vafā chāhtā huuñ

jo dil maiñ ne chāhā to kyā ḳhaak chāhā

ki dil bhī to be-mudda.ā chāhtā huuñ

ye hasrat lazzat ye zauq-e-tamannā

shab-e-vasl un se hayā chāhtā huuñ

sivā is ke maiñ kyā kahūñ tum se 'āsī'

ki darvesh ho tum duā chāhtā huuñ

Top Urdushayar.com