ai junūñ phir mire sar par vahī shāmat aa.ī
phir phañsā zulfoñ meñ dil phir vahī aafat aa.ī
mar ke bhī jazb-e-dil-e-qais meñ tāsīr ye thī
ḳhaak uḌātī huī lailā sar-e-turbat aa.ī
masjideñ shahr kī ai pīr-e-muġhāñ ḳhālī haiñ
mai-kade meñ to jamā.at kī jamā.at aa.ī
vo hai khiḌkī meñ udhar bhiiḌ nazar-bāzoñ kī
aaj us kūche meñ sunte haiñ qayāmat aa.ī
kabhī jī bhar ke vatan meñ na rahe ham 'āsī'
roz-e-mīlād se taqdīr meñ ġhurbat aa.ī