Aasi Ghazipuri

zaKHm-e-dil hum dikha nahin sakte

Aasi Ghazipuri

Sikandrabad, Uttar pradesh, India

1834-1917

zaḳhm-e-dil ham dikhā nahīñ sakte

dil kisī dukhā nahīñ sakte

vo yahāñ tak jo aa nahīñ sakte

kyā mujhe bhī bulā nahīñ sakte

vaada bhī hai to hai qayāmat

jis ko ham aazmā nahīñ sakte

aap bhī bahr-e-ashk haiñ goyā

aag dil bujhā nahīñ sakte

un se ummīd-e-vasl ai tauba

vo to sūrat dikhā nahīñ sakte

un ko ghūñghaT uThāne meñ kyā uzr

hosh meñ ham jo aa nahīñ sakte

māñgte maut duā lekin

haath dil se uThā nahīñ sakte

un ko dāvā-e-yūsufī 'āsī'

ḳhvāb meñ bhī jo aa nahīñ sakte

Top Urdushayar.com