ek  jalve  kī  havas  vo  dam-e-rehlat  bhī  nahīñ
kuchh  mohabbat  nahīñ  zālim  to  muravvat  bhī  nahīñ
us  ke  kūche  meñ  kahāñ  kashmakash  bīm-o-rajā
ḳhauf-e-dozaḳh  bhī  nahīñ  ḳhvāhish-e-jannat  bhī  nahīñ
zauq-e-mastī  kī  mazammat  na  kar  itnī  ai  shaiḳh
kyā  tujhe  nashsha-e-zauq-e-mai-e-ulfat  bhī  nahīñ
be-niyāzī  bhī  uThā  luuñ  maiñ  tire  naaz  kī  tarah
kyā  vo  tāqat  na  rahī  mujh  meñ  to  himmat  bhī  nahīñ
kis  tarah  kahiye  ki  dīdār  dikhāyā  us  ne
bāġh-e-jannat  bhī  nahīñ  roz-e-qayāmat  bhī  nahīñ
zohd-o-taqvā  o  islāh-e-dar-husn-e-amal
kuchh  nahīñ  mujh  meñ  magar  kyā  tirī  rahmat  bhī  nahīñ
jazb-e-kāmil  se  use  khīñch  lo  ai  hazrat-e-dil
kaise  darvesh  ho  kuchh  tum  meñ  karāmat  bhī  nahīñ
kabhī  'āsī'  se  ham-āġhosh  na  dekhā  tujh  ko
asar-e-jazba-e-dil  ahl-e-mohabbat  bhī  nahīñ