yahī  justujū  kā  kamāl  hai  yahī  āgahī  kī  talāsh  hai
use  samho  apnī  talāsh  tum  jo  tumheñ  kisī  kī  talāsh  hai
yahī  aa.ina  hai  vo  ā.īna  jo  liye  hai  jalva-e-āgahī
ye  jo  shā.erī  kā  shu.ūr  hai  ye  payambarī  kī  talāsh  hai
vo  masarratoñ  kā  hujūm  kyā  jo  tavāf-e-ishq-o-tarab  kare
vo  ḳhushī  jo  auroñ  ko  de  sakūñ  mujhe  us  ḳhushī  kī  talāsh  hai
ye  jo  pastiyāñ  haiñ  uruuj  kī  ye  tabāhiyāñ  jo  haiñ  zehn  kī
koī  rāhbar  hai  to  aa.e  phir  unheñ  rāhbarī  kī  talāsh  hai
mirī  zindagī  mirī  shā.erī  hai  haqīqatoñ  kā  ik  ā.īna
ye  'matīn'  ġham  jo  aziiz  hai  ye  mirī  kabhī  kī  talāsh  hai