Matin Niazi

kabhi kabhi to mohabbat ki zindagi ke liye

Matin Niazi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1913
kabhī kabhī to mohabbat kī zindagī ke liye
ḳhud un ko ham ne ubhārā hai barhamī ke liye
kiyā hai kaam baḌā zindagī meñ ashkoñ ne
diye jalā.e shab-e-ġham meñ raushnī ke liye
vo aaj bhī haiñ usī tīrgī kī manzil meñ
ujālā maañg ke laa.e jo raushnī ke liye
adā-e-jaur-e-mohabbat meñ nāgavār nahīñ
ḳhulūs chāhiye ai dost barhamī ke liye
ye daur vo hai ki apne haiñ ġhair se bad-tar
kaleja chāhiye apnoñ se dostī ke liye
dalīl-e-azmat-e-insāñ hai ye nizām-e-jahāñ
zamīñ hai gardish-e-paiham meñ aadmī ke liye
hamāre hāl-e-pareshāñ pe kaash ek nazar
bhare haiñ ruup ye ham ne tirī ḳhushī ke liye
ye zindagī bhī ajab zindagī hai kyā kahiye
'matīn' Thokareñ khāte haiñ ham ḳhushī ke liye
Top Urdushayar.com