taġhayyurāt  se  kab  rabt-e-gulsitāñ  na  rahā
bahār  aa.ī  to  kyā  ḳhatra-e-ḳhizāñ  na  rahā
jabīñ  jhukā.ī  to  jannat  ḳharīd  lī  jaise
samajh  rahe  haiñ  ki  ab  koī  imtihāñ  na  rahā
fazā  meñ  guuñj  rahī  haiñ  kahāniyāñ  ġham  kī
hamīñ  ko  hausla-e-sharh-e-dāstāñ  na  rahā
unheñ  to  hashr  meñ  bhī  hai  ḳhayāl-e-rusvā.ī
hameñ  ḳhushī  hai  koī  parda  darmiyāñ  na  rahā
ġham-e-ma.āl  ġham-e-zindagī  ġham-e-daurāñ
hamāre  ishq  kā  charchā  kahāñ  kahāñ  na  rahā
havā  palaTte  hī  har  zaḳhm  ho  gayā  taaza
bahār-e-ishq  ko  andesha-e-ḳhizāñ  na  rahā
'matīn'  qadr  huī  aah  kab  nasheman  kī
chaman  meñ  barq  ke  laa.eq  jab  āshiyāñ  na  rahā