aadmī  aur  dard  se  nā-āshnā  mumkin  nahīñ
aks  se  ḳhālī  ho  koī  ā.īna  mumkin  nahīñ
aadmī  insān-e-kāmil  ban  to  saktā  hai  magar
zindagī  bhar  rah  sake  vo  pārsā  mumkin  nahīñ
do  kināre  jaise  dariyā  ke  nahīñ  milte  kabhī
ham  se  iqdām-e-jafā  un  se  vafā!  mumkin  nahīñ
kār-farmā  jab  rahe  barq-e-nazar  āThoñ  pahar
shahr  bhar  meñ  ho  na  koī  hādsa!  mumkin  nahīñ
kis  qadar  himmat-shikan  hai  gumrahī  kā  ye  javāz
rahbarī  az-ibtidā  tā-intihā  mumkin  nahīñ
shīsha  koī  chuur  ho  jaa.e  to  phir  kis  kaam  kā
miT  ke  ho  ābād  aivān-e-vafā  mumkin  nahīñ
aap  patthar  ko  nichoḌeñ  is  se  kyā  hāsil  'matīn'
tañg-dil  insān  ho  haq-āshnā  mumkin  nahīñ