Matin Niazi

hae urdu ye siyasat teri jagir ke sath

Matin Niazi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1913
haa.e urdu ye siyāsat tirī jāgīr ke saath
koī 'ġhālib' kā taraf-dār koī 'mīr' ke saath
zindagī ek safar ḳhauf kī zanjīr ke saath
maut ik ḳhvāb-e-girāñ hashr kī ta.abīr ke saath
har adā husn kī mahfūz hai tāsīr ke saath
boltī chaltī thiraktī huī tasvīr ke saath
zabt kī had se guzar kar bhī duā kartā huuñ
shikva-bar-lab huuñ magar jazba-e-tāmīr ke saath
jānī-pahchānī huī shakl bhī mub.ham sī lage
zindagī kā ye fusūñ apnī hī tasvīr ke saath
ab to Thokar bhī lage to nahīñ uThtī jhankār
pahle āvāz thī har jumbish-e-zanjīr ke saath
dīda-e-said se āgāh na dil se vāqif
ajnabī kaun hai tarkash meñ tire tiir ke saath
apnī qismat ke jo mālik haiñ ye un se pūchho
rabt tadbīr ko hotā hai jo taqdīr ke saath
faiz-e-mausam hī sahī sehr-e-taġhayyur hī sahī
barq girtī hai magar aah kī tāsīr ke saath
apnī tasvīr se ik ishq sā hotā hai 'matīn'
ye junūñ aur fuzūñ hotā tash.hīr ke saath
Top Urdushayar.com