haa.e  urdu  ye  siyāsat  tirī  jāgīr  ke  saath
koī  'ġhālib'  kā  taraf-dār  koī  'mīr'  ke  saath
zindagī  ek  safar  ḳhauf  kī  zanjīr  ke  saath
maut  ik  ḳhvāb-e-girāñ  hashr  kī  ta.abīr  ke  saath
har  adā  husn  kī  mahfūz  hai  tāsīr  ke  saath
boltī  chaltī  thiraktī  huī  tasvīr  ke  saath
zabt  kī  had  se  guzar  kar  bhī  duā  kartā  huuñ
shikva-bar-lab  huuñ  magar  jazba-e-tāmīr  ke  saath
jānī-pahchānī  huī  shakl  bhī  mub.ham  sī  lage
zindagī  kā  ye  fusūñ  apnī  hī  tasvīr  ke  saath
ab  to  Thokar  bhī  lage  to  nahīñ  uThtī  jhankār
pahle  āvāz  thī  har  jumbish-e-zanjīr  ke  saath
dīda-e-said  se  āgāh  na  dil  se  vāqif
ajnabī  kaun  hai  tarkash  meñ  tire  tiir  ke  saath
apnī  qismat  ke  jo  mālik  haiñ  ye  un  se  pūchho
rabt  tadbīr  ko  hotā  hai  jo  taqdīr  ke  saath
faiz-e-mausam  hī  sahī  sehr-e-taġhayyur  hī  sahī
barq  girtī  hai  magar  aah  kī  tāsīr  ke  saath
apnī  tasvīr  se  ik  ishq  sā  hotā  hai  'matīn'
ye  junūñ  aur  fuzūñ  hotā  tash.hīr  ke  saath