vo  mirī  duniyā  kā  mālik  thā  magar  merā  na  thā
maiñ  ne  is  andāz  par  pahle  kabhī  sochā  na  thā
ek  muddat  tak  rahā  ḳhush-fahmiyoñ  meñ  mubtalā
ā.īne  ke  rū-ba-rū  jab  tak  mirā  chehra  na  thā
tohmatoñ  ko  ek  aise  ajnabī  kī  thī  talāsh
jo  kabhī  ghar  se  nikal  kar  raah  meñ  Thahrā  na  thā
ho  chukī  thī  shohrateñ  rusvā.iyoñ  se  ham-kanār
bhuul  jaatā  maiñ  jise  vo  sāneha  aisā  na  thā
merī  nazroñ  meñ  hai  ḳhāka  vo  bhī  husn-e-dost  kā
jis  ko  logoñ  ne  abhī  tak  zehn  meñ  sochā  na  thā
maiñ  uThūñ  to  rañg  laa.eñ  tazkaroñ  ke  silsile
log  itnā  to  kaheñ  ki  aadmī  achchhā  na  thā
log  is  andāz  meñ  dete  haiñ  duniyā  kī  misāl
maiñ  to  jaise  tajraboñ  ke  daur  se  guzrā  na  thā
ik  nayā  ehsās  dete  haiñ  vo  ahl-e-sañg  ko
aabrū  ke  saath  rahnā  shahr  meñ  achchhā  na  thā
kyā  asar-andāz  hotā  us  pe  afsāna  'nazar'
lafz  bhī  māñge  hue  mafhūm  bhī  apnā  na  thā