hausle  apne  rahnumā  to  hue
hādse  ġham  kā  aasrā  to  hue
be-vafā  hī  sahī  zamāne  meñ
ham  kisī  fan  kī  intihā  to  hue
vādi-e-ġham  ke  ham  khañDar  hī  sahī
aane  vāloñ  kā  rāsta  to  hue
kuchh  to  maujeñ  uThī  samundar  se
be-sabab  hī  sahī  ḳhafā  to  hue
un  ko  apnā  hī  ġham  sahī  lekin
vo  kisī  ġham  meñ  mubtilā  to  hue
ḳhud  ko  begāna  kar  ke  duniyā  se
chand  chehroñ  se  āshnā  to  hue
ḳhanda-e-gul  hue  ki  shola-e-jāñ
haal  pe  mere  lab-kushā  to  hue
pattharoñ  ke  nagar  meñ  jā  ke  'nazar'
kam  se  kam  sañg-āshnā  to  hue