apne  baare  meñ  jab  bhī  sochā  hai
us  kā  chehra  nazar  meñ  ubhrā  hai
tajraboñ  ne  yahī  batāyā  hai
aadmī  shohratoñ  kā  bhūkā  hai
dekhiye  to  hai  kārvāñ  varna
har  musāfir  safar  meñ  tanhā  hai
us  ke  baare  meñ  sochne  vaalo
dekh  lo  ab  ye  haal  apnā  hai
kaun  bandish  lagā.e  ḳhushbū  kī
ishq  fitrat  kā  ik  taqāzā  hai
yaad  aa.ī  hai  jaane  kis  kis  kī
lab  pe  jab  zikr  us  kā  aayā  hai
fikr  kī  talḳhiyoñ  meñ  gum  ho  kar
aadmī  be-sabab  bhī  hañstā  hai
ārzūmand  koī  ho  to  kahūñ
mere  dil  meñ  bhī  ik  tamannā  hai
mere  chehre  pe  jo  likhā  hai  'nazar'
ġhaur  se  kis  ne  us  kī  samjhā  hai