dasht  meñ  vādi-e-shādāb  ko  chhū  kar  aayā
maiñ  khulī-āñkh  hasīñ  ḳhvāb  ko  chhū  kar  aayā
us  ko  chhū  kar  mujhe  mahsūs  huā  hai  aise
jaise  maiñ  resham-o-kim-ḳhvāb  ko  chhū  kar  aayā
mujh  ko  mālūm  hai  poroñ  ke  damakne  kā  javāz
raat  maiñ  ḳhvāb  meñ  mahtāb  ko  chhū  kar  aayā
jism  ke  saath  mirī  ruuh  bhī  nam  hone  lagī
jab  se  us  dīda-e-pur-āb  ko  chhū  kar  aayā
ruuh  kī  kaa.ī  isī  taur  se  chhaTnā  thī  so  maiñ
sub.h-dam  mimbar-o-mehrāb  ko  chhū  kar  aayā
murta.ish  kirnoñ  kā  raqs  ek  ghaḌī  bhī  na  thame
chāñd  kis  tarz  ke  tālāb  ko  chhū  kar  aayā