dariyā  meñ  dasht  dasht  meñ  dariyā  sarāb  hai
is  puurī  kā.enāt  meñ  kitnā  sarāb  hai
rozāna  ik  faqīr  lagātā  hai  ye  sadā
duniyā  sarāb  hai  are  duniyā  sarāb  hai
muusā  ne  ek  ḳhvāb-e-haqīqat  banā  diyā
vaise  to  gahre  paanī  meñ  rasta  sarāb  hai
puurī  tarah  se  haath  meñ  aayā  nahīñ  kabhī
vo  husn-e-be-misāl  bhī  aadhā  sarāb  hai
khultā  nahīñ  hai  ret  hai  paanī  ki  aur  kuchh
merī  nazar  ke  sāmne  pahlā  sarāb  hai
suraj  kī  tez  dhuup  meñ  dhoka  har  ek  shai
kaalī  ghaTā  sī  raat  meñ  saaya  sarāb  hai