maiñ  vahshat-o-junūñ  meñ  tamāshā  nahīñ  banā
sahrā  mire  vajūd  kā  hissa  nahīñ  banā
is  baar  kūza-gar  kī  tavajjoh  thī  aur  samt
varna  hamārī  ḳhaak  se  kyā  kyā  nahīñ  banā
soī  huī  anā  mire  aaḌe  rahī  sadā
koshish  ke  bāvajūd  bhī  kaasa  nahīñ  banā
ye  bhī  tirī  shikast  nahīñ  hai  to  aur  kyā
jaisā  tū  chāhtā  thā  maiñ  vaisā  nahīñ  banā
varna  ham  aise  log  kahāñ  Thahrte  yahāñ
ham  se  falak  kī  samt  kā  ziina  nahīñ  banā
jitne  kamāl-rañg  the  saare  liye  ga.e
phir  bhī  tire  jamāl  kā  naqsha  nahīñ  banā
rokā  gayā  hai  vaqt  se  pahle  hī  merā  chaak
mujh  ko  ye  lag  rahā  hai  maiñ  puurā  nahīñ  banā