zindagī  ḳhauf  se  tashkīl  nahīñ  karnī  mujhe
raat  se  zaat  kī  takmīl  nahīñ  karnī  mujhe
kisī  darvesh  ke  hujre  se  abhī  aayā  huuñ
so  tire  hukm  kī  tāmīl  nahīñ  karnī  mujhe
chhoḌ  dī  dasht-navardī  bhī  ziyāñ-kārī  bhī
zindagī  ab  tirī  tazlīl  nahīñ  karnī  mujhe
dil  ke  bāzār  meñ  zanjīr-zanī  honī  nahīñ
aañkh  bhī  aañkh  rahe  jhiil  nahīñ  karnī  mujhe
maiñ  ki  ilhād  ke  girdāb  meñ  aayā  huā  huuñ
ab  kisī  ilm  kī  tahsīl  nahīñ  karnī  mujhe
laḌte  rahnā  hai  tasalsul  se  mujhe  sub.h  talak
aur  talvār  bhī  tabdīl  nahīñ  karnī  mujhe