koī  an-dekhī  fazā  tasvīr  karnā  chāhiye
ḳhvāb  kī  buniyād  par  tāmīr  karnā  chāhiye
maiñ  bhaTaktā  phir  rahā  huuñ  vāhimoñ  ke  darmiyāñ
gard  lipTī  ruuh  kī  tathīr  karnā  chāhiye
jin  dinoñ  dīvāngī  Thahrī  huī  ho  zaat  meñ
ek  duniyā  un  dinoñ  tasḳhīr  karnā  chāhiye
jis  sadā  meñ  sau  tarah  ke  rañg  jhilmil  karte  hoñ
vo  sadā  har  haal  meñ  tasvīr  karnā  chāhiye
jald-bāzī  de  ga.ī  hai  rat-jagoñ  ke  silsile
faisle  meñ  thoḌī  sī  tāḳhīr  karnā  chāhiye
ab  bagūle  mujh  meñ  haiñ  aur  maiñ  bagūloñ  meñ  'ḳhayāl'
dasht  meñ  dīvāngī  zanjīr  karnā  chāhiye