Ameer Imam

ab is jahan-e-barhana ka istiara hua

Ameer Imam

Sambhal, Uttar pradesh, India

1984

jo ab jahān-e-barhana isti.āra huā

maiñ zindagī tirā ik pairahan utārā huā

siyāh-ḳhūn Tapaktā hai lamhe lamhe se

na jaane raat pe shab-ḳhūñ hai kis ne maarā huā

jakaḌ ke sāñsoñ meñ tash.hīr ho rahī hai mirī

maiñ ek qaid sipāhī huuñ jañg haarā huā

phir is ke baad vo aañsū utar gayā dil meñ

zarā der ko āñkhoñ meñ ik sharāra huā

ḳhudā shukr mirī tishnagī palaT aa.ī

chalī ga.ī thī samundar jab ishāra huā

amiir imaam mubārak ho fat.h-e-ishq tumheñ

ye dard-e-māl-e-ġhanīmat hai sab tumhārā huā

Top Urdushayar.com