jis  par  dil  rotā  hai  vo  bhī  hañs  kar  karnā  paḌtā  hai
apne  ghar  kī  raunaq  ko  ḳhud  be-ghar  karnā  paḌtā  hai
achchhe  achchhe  dab  jaate  haiñ  rasm-e-zamāna  ke  aage
dekh  ke  chup  rahte  haiñ  dil  ko  patthar  karnā  paḌtā  hai
aane  vaale  din  kī  fikreñ  ḳhvāboñ  ko  Das  letī  haiñ
niiñd  se  jaltī  āñkhoñ  ko  be-manzar  karnā  paḌtā  hai
chāhne  aur  chāhe  jaane  kī  ḳhvāhish  jurm  nahīñ  lekin
rusvā.ī  ko  apne  sar  kī  chādar  karnā  paḌtā  hai
aise  moḌ  pe  aa  jaatī  hai  baḌhte  baḌhte  baat  kabhī
phuul  se  lahje  ko  majbūran  ḳhanjar  karnā  paḌtā  hai
raat  parā.e  des  meñ  kaaTī  to  ye  bhī  ma.alūm  huā
haath  ko  takiya  aur  zamīñ  ko  bistar  karnā  paḌtā  hai
jī  kahtā  hai  rad  kar  duuñ  maiñ  aise  ḳhvāboñ  ko  'ma.asūm'
jin  kī  ta.abīroñ  par  mātam  aksar  karnā  paḌtā  hai