chehre  se  zindagī  kī  chamak  ḳhatm  ho  ga.ī
itnā  hañse  ki  saarī  lalak  ḳhatm  ho  ga.ī
har  rāsta  kahīñ  na  kahīñ  jaatā  hai  magar
chaltā  gayā  maiñ  aur  saḌak  ḳhatm  ho  ga.ī
mujh  se  chhuḌā  ke  haath  bahut  ḳhush  hai  vo  magar
ḳhush-rañg  chūḌiyoñ  kī  khanak  ḳhatm  ho  ga.ī
kis  sañg-dil  ḳhayāl  ne  sahmā  ke  rakh  diyā
yak-laḳht  aa.ine  kī  chamak  ḳhatm  ho  ga.ī
phūloñ  kī  dilkashī  meñ  izāfa  huā  to  hai
lekin  ye  kyā  huā  ki  mahak  ḳhatm  ho  ga.ī
shāḳh-e-gulāb  lagtī  hai  Daalī  babūl  kī
mausam  ke  saath  saarī  lachak  ḳhatm  ho  ga.ī
aaj  us  kā  maiñ  ne  āḳhirī  ḳhat  bhī  jalā  diyā
'ma.asūm'  umr  bhar  kī  kasak  ḳhatm  ho  ga.ī