bū-e-gul  chāhte  haiñ  raqs-e-sabā  chāhte  haiñ
band  kamroñ  ke  makīñ  taaza  havā  chāhte  haiñ
muflisī  hosh  uḌā  detī  hai  insānoñ  ke
ye  nasha  kam  ho  to  daulat  kā  nasha  chāhte  haiñ
kab  kahā  ham  ne  kisī  zohra-jabīñ  kī  hai  talāsh
jo  hameñ  DhūñD  sake  us  kā  patā  chāhte  haiñ
ye  bhī  manzūr  nahīñ  chāñd  ke  bāshindoñ  ko
ham  ghanī  raat  meñ  miTTī  kā  diyā  chāhte  haiñ
ham  se  nārāz  haiñ  sūraj  kī  shuā.eñ  to  raheñ
ham  to  bas  raushnī-e-ġhār-e-hirā  chāhte  haiñ
sab  ko  miltā  hai  ye  andāz-e-faqīrāna  kahāñ
ham  pareshāñ  haiñ  magar  sab  kā  bhalā  chāhte  haiñ
jin  kā  sar  dekh  ke  kaase  kā  gumāñ  ho  'ma.asūm'
vo  bhī  is  daur  meñ  dastār-e-anā  chāhte  haiñ