bahār  ban  ke  chaman  kī  fazā  meñ  shāmil  hai
ye  kis  ke  jism  kī  ḳhushbū  havā  meñ  shāmil  hai
kabhī  milā  na  koī  guftugū  huī  jis  se
vo  kaun  hai  jo  mirī  har  duā  meñ  shāmil  hai
maiñ  jitnā  bach  ke  chalūñ  utnā  khīñchtā  hai  mujhe
ajab  tilism-e-tamannā  ḳhatā  meñ  shāmil  hai
sunegā  vo  to  yaqīnan  javāb  bhī  degā
ye  kaisā  Dar  hai  jo  merī  sadā  meñ  shāmil  hai
ilaaj  ke  liye  bīmār  ab  kahāñ  jaa.eñ
ki  ek  zahr  yahāñ  har  davā  meñ  shāmil  hai
banegī  baat  bhalā  kis  tarah  vahāñ  'ma.asūm'
anā  kā  rañg  jahāñ  iltijā  meñ  shāmil  hai