maiñ  be-amān  sahī  phir  bhī  ye  gumān  to  hai
zamīñ  hai  paañv  tale  sar  pe  āsmān  to  hai
har  ek  lamha  kisī  tiir  kā  hai  Dar  lekin
maiñ  mutma.in  huuñ  ki  mere  paroñ  meñ  jaan  to  hai
maiñ  is  tarah  dar-o-dīvār  se  huuñ  begāna
ki  ghar  nahīñ  na  sahī  ghar  kā  ik  nishān  to  hai
maiñ  apnī  kashtī-e-ummīd  se  nahīñ  māyūs
phaTā  purānā  sahī  phir  bhī  bādbān  to  hai
maiñ  apnī  zaat  se  bāhar  nikal  ke  sochtā  huuñ
nahīñ  hai  rabt  magar  merā  ḳhāndān  to  hai
charāġh-e-jāñ  kā  muqaddar  ho  jo  bhī  ai  'ma.asūm'
havā  ke  sāmne  masrūf-e-imtihān  to  hai