mohabbat  ke  safar  meñ  be-ruḳhī  se  choT  lagtī  hai
jise  ham  pyaar  karte  haiñ  usī  se  choT  lagtī  hai
zarūrat  se  ziyāda  guftugū  achchhī  nahīñ  lagtī
zarūrat  se  ziyāda  ḳhāmushī  se  choT  lagtī  hai
mujhe  be-ḳhvāb  rātoñ  se  koī  shikva  nahīñ  phir  bhī
añdherā  Dastā  hai  aur  chāñdnī  se  choT  lagtī  hai
shikasta  aur  suunī  khiḌkiyāñ  āvāze  kastī  haiñ
guzartā  huuñ  maiñ  jab  is  kī  galī  se  choT  lagtī  hai
tumhāre  saath  bhī  aisā  ho  to  hairān  mat  honā
kisī  se  miltī  hai  rāhat  kisī  se  choT  lagtī  hai
yahāñ  sab  apnī  fitrat  ke  sabab  pahchāne  jaate  haiñ
shikārī  zehniyat  ko  sādgī  se  choT  lagtī  hai
kabhī  hairān  rah  jaatā  huuñ  zālim  kī  jasārat  par
kabhī  'ma.asūm'  apnī  buzdilī  se  choT  lagtī  hai