jañgal  kī  tarah  phailā  huā  Dar  sameT  kar
maiñ  jaanā  chāhtā  huuñ  kahīñ  ghar  sameT  kar
duniyā  sameTne  ke  talabgār  haiñ  bahut
rakkhā  hai  maiñ  ne  ḳhud  ko  bhī  aksar  sameT  kar
jī  chāhtā  hai  rakh  duuñ  kisī  roz  aag  par
ġham-hā-e-rozgār  kā  daftar  sameT  kar
kaaTī  hai  raat  ham  ne  añdheroñ  ke  darmiyāñ
āñkhoñ  meñ  apnī  sub.h  kā  manzar  sameT  kar
jīte-jī  koī  Daal  gayā  mere  sar  pe  ḳhaak
apnā.iyat  kī  reshmī  chādar  sameT  kar
'ma.asūm'  āsmānoñ  kī  rakhte  the  jo  ḳhabar
vo  rauzanoñ  meñ  baiTh  ga.e  par  sameT  kar