har  saañs  mahaktā  huā  ehsās  hai  zinda
dil  meñ  tire  milne  kī  abhī  aas  hai  zinda
ashkoñ  ne  koī  jis  pe  ibārat  nahīñ  chhoḌī
mahsūs  ye  hotā  hai  vo  qirtās  hai  zinda
ab  jaam  nahīñ  zahr  kā  pyāla  hai  zarūrī
pyāse  ko  gila  hai  ki  abhī  pyaas  hai  zinda
dhartī  meñ  jaḌeñ  gaaḌ  ke  sar  apnā  uThā.e
bārish  ke  tasavvur  meñ  harī  ghaas  hai  zinda
be-jān  samajh  kar  jise  vo  chhoḌ  gayā  thā
'ma.asūm'  vo  tasvīr  mire  paas  hai  zinda