sāmne  baiTh  ke  kuchh  baat  bhī  ho  saktī  hai
aap  chāheñ  to  mulāqāt  bhī  ho  saktī  hai
kis  ne  samjhā  hai  badalte  hue  mausam  kā  mizāj
dhuup  rahte  hue  barsāt  bhī  ho  saktī  hai
haath  aa.ī  huī  baazī  pe  bahut  naaz  na  kar
jītne  vaale  tujhe  maat  bhī  ho  saktī  hai
vādī-e-shab  meñ  charāġhoñ  kā  ye  lashkar  kaisā
koī  bhaTkī  huī  bārāt  bhī  ho  saktī  hai
ham  ne  dekhā  bhī  nahīñ  tum  ne  pukārā  bhī  nahīñ
kal  yahī  vaj.h-e-shikāyāt  bhī  ho  saktī  hai
ham  ne  pahle  hī  ḳhabar-dār  kiyā  thā  'ma.asūm'
rāh-e-ulfat  meñ  koī  ghaat  bhī  ho  saktī  hai