apnī  kitāb-e-umr  kā  anjām  likh  diyā
pahle  varaq  pe  maiñ  ne  tirā  naam  likh  diyā
maiñ  likhnā  chāhtā  thā  koī  phuul  sī  ġhazal
aur  jab  likhā  to  sirf  tirā  naam  likh  diyā
dil  ne  tire  sivā  na  koī  baat  kī  qubūl
sab  kuchh  ba-nām-e-gardish-e-ayyām  likh  diyā
rusvā.iyoñ  ke  moḌ  pe  tanhā  khaḌā  huuñ  maiñ
apnā  gunāh  sab  ne  mire  naam  likh  diyā
ham  aise  be-gharoñ  ne  jahāñ  bhī  kiyā  qayām
ḳhat  khīñch  ke  vahīñ  pe  dar-o-bām  likh  diyā
'ma.asūm'  mujh  ko  is  ne  kiyā  ā.ina-mizāj
lekin  mire  nasīb  meñ  ilzām  likh  diyā