fidā kar jaan agar jaanī yahī hai
are dil vaqt-e-be-jānī yahī hai
yahī qabr-e-zuleḳhā siiñ hai āvāz
agar hai yūsuf-e-sānī yahī hai
nahīñ bujhtī hai pyaas aañsū siiñ lekin
kareñ kyā ab to yaañ paanī yahī hai
kisī āshiq ke marne kā nahīñ taras
magar yaañ kī musalmānī yahī hai
birah kā jaan kandan hai nipaT saḳht
shitāb aa mushkil āsānī yahī hai
piro tār-e-palak meñ dāna-e-ashk
ki tasbīh-e-sulaimānī yahī hai
mujhe zālim ne giryāñ dekh bolā
ki is aalam meñ tūfānī yahī hai
zamīñ par yaar kā naqsh-e-kaf-e-pā
hamārā ḳhatt-e-peshānī yahī hai
vo zulf-e-pur-shikan lagtī nahīñ haat
mujhe saarī pareshānī yahī hai
na phirnā jaan denā us galī meñ
dil-e-be-jān kī baanī yahī hai
kiyā raushan charāġh-e-dil kuuñ mere
'sirāj' ab fazl-e-rahmānī yahī hai