nazar  meñ  manzar-e-rafta  samā  bhī  saktā  hai
koī  bhulāyā  huā  yaad  aa  bhī  saktā  hai
maiñ  us  se  ruuTh  gayā  huuñ  magar  ye  haq  hai  use
manānā  chāhe  to  mujh  ko  manā  bhī  saktā  hai
maiñ  us  ke  rahm-o-karam  par  huuñ  ek  muddat  se
jalā  bhī  saktā  hai  mujh  ko  bujhā  bhī  saktā  hai
ye  iḳhtiyār  use  de  diyā  gayā  hai  ki  vo
hinsā  bhī  saktā  hai  mujh  ko  rulā  bhī  saktā  hai
'hasn-jamīl'  banāyā  thā  is  ne  dil  se  mujhe
kisī  bhī  vaqt  magar  vo  miTā  bhī  saktā  hai