Siraj Aurangabadi

kahan hai gul-badan mohan piyara

Siraj Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1712-1763
kahāñ hai gul-badan mohan piyārā
ki jiyūñ bulbul hai nālāñ dil hamārā
bisāt-e-ishq-bāzī meñ mirā dil
matā-e-sabr-o-naqd-o-hosh haarā
taġhāful tark kar ai shoḳh-e-be-bāk
talattuf kar navāzish kar mudārā
hazāre kā nahīñ hai zauq mujh kuuñ
kiyā huuñ jab siiñ tujh mukh kā nazārā
sunā hai jab siiñ tere husn kā shor
liyā zāhid ne masjid kā kinārā
shab-e-hijrat meñ us mahtāb-rū kī
har ik aañsū huā raushan sitārā
'sirāj' us sham.a-rū ne in dinoñ meñ
liyā hai sab patañgoñ kā ijārā
Top Urdushayar.com