is  qadar  sachchā.ī  se  bezār  duniyā  ho  ga.ī
zad  pe  gardan  hai  mirī,  talvār  duniyā  ho  ga.ī
us  ke  dil  meñ  niim  golī,  shahd  bātoñ  meñ  rakhe
pūchhte  kyā  ho  miyāñ!  makkār  duniyā  ho  ga.ī
be-hayā.ī  bevafā.ī  be-yaqīnī  be-hisī
kaise  kaise  ḳhanjaroñ  kī  dhaar  duniyā  ho  ga.ī
maslahat  ne  kis  qadar  tabdīl  us  ko  kar  diyā
ġhair  maiñ  huuñ  in  dinoñ  ġham-ḳhvār  duniyā  ho  ga.ī
kyā  samajhte  ho  yaqīñ  kar  legī  tum  kuchh  bhī  kaho
soch  kar  denā  bayāñ  hoshyār  duniyā  ho  ga.ī
kyā  sahāfī  kyā  muarriḳh  kaise  aalim  kyā  adiib
dekhte  hī  dekhte  bāzār  duniyā  ho  ga.ī
haar  kar  jis  ne  kiyā  hai  us  se  samjhautā  'farāz'
haañ  usī  ke  vāste  hamvār  duniyā  ho  ga.ī