Saghir Ahmad Sufi

kaam aai ishq ki diwangi kal raat ko

Saghir Ahmad Sufi

Banaras, Uttar pradesh, India

1923

kaam aa.ī ishq dīvāngī kal raat ko

husn ne baḳhshī matā-e-dostī kal raat ko

qāmat-e-dilkash libās-e-surḳh meñ thī mehmāñ

mere ghar ik surḳh maḳhmal parī kal raat ko

tamtamā.e gaal bhīge hoñT chashm-e-nīm-vā

thī mujassam jaise merī shā.irī kal raat ko

vo mire shāna-ba-shāna sahn meñ mahv-e-ḳhirām

chāñd ke pahlū meñ jaise chāñdnī kal raat ko

narm bāñhoñ se mire shānoñ se kuchh sāzish huī

paḌ ga.ī gardan meñ motī laḌī kal raat ko

shab ke sannāTe meñ paimān-e-vafā bāñdhe ga.e

kuchh na.e va.adoñ ne jādūgarī kal raat ko

har ghaḌī 'sūfī' nashāt-añgez lamhoñ meñ kaTī

zindagī thī dar-haqīqat zindagī kal raat ko

Top Urdushayar.com