maa.il  huuñ  gul-badan  kā  mujhe  gul  siiñ  kyā  ġharaz
kākul  meñ  us  ke  band  huuñ  sumbul  siiñ  kyā  ġharaz
ḳhūnīñ  diloñ  ke  qatl  kuuñ  sīdhī  nigāh  bas
is  teġh  kuuñ  fasān-e-taġhāful  siiñ  kyā  ġharaz
rusvā.ī-e-jahāñ  siiñ  mujhe  fikr  kuchh  nahīñ
dīvāna-e-junūñ  kuuñ  ta.ammul  siiñ  kyā  ġharaz
bas  hai  ġhubār-e-rāh-e-libās-e-shahanshahī
sultān-e-be-ḳhudī  kuuñ  tajammul  siiñ  kyā  ġharaz
jaam  mai-e-alast  siiñ  be-ḳhud  huuñ  ai  'sirāj'
daur-e-sharāb-o-shīsha-e-pur-mul  siiñ  kyā  ġharaz