aañkh  khulī  to  mujh  ko  ye  idrāk  huā
ḳhvāb-nagar  kā  har  manzar  saffāk  huā
jism  o  jaan  kā  saarā  qissa  paak  huā
ḳhākī  thā  maiñ  ḳhaak  meñ  mil  kar  ḳhaak  huā
mujh  par  shak  karne  se  pahle  dekh  to  le
merā  dāman  kis  jānib  se  chaak  huā
ek  hī  pal  meñ  jā  pahuñchā  duniyā  se  paar
Dūbne  vaalā  sab  se  baḌā  tairāk  huā
TukḌoñ  TukḌoñ  baañT  rahā  hai  chehre  ko
TuuT  ke  shīsha  aur  bhī  kuchh  be-bāk  huā
raat  ko  maiñ  ne  din  karne  kī  Thānī  hai
merī  zid  par  sūraj  bhī  namnāk  huā
kaisī  mohabbat  kaisā  ta.alluq  Dhoñg  hai  sab
maañ  ke  alāva  har  rishta  nāpāk  huā
din  meñ  nikalnā  chhoḌ  diyā  us  ne  bhī
aaj  kā  jugnū  bachchoñ  se  chālāk  huā