ye  vahm  hai  merā  ki  haqīqat  meñ  milā  hai
ḳhurshīd  mujhe  vādi-e-zulmat  meñ  milā  hai
shāmil  mirī  tahzīb  meñ  hai  haq  kī  himāyat
andāz-e-baġhāvat  kā  virāsat  meñ  milā  hai
tā-umr  rifāqat  kī  qasam  khaa.ī  thī  jis  ne
bichhḌā  hai  to  phir  mujh  ko  qayāmat  meñ  milā  hai
rukte  hī  qadam  paañv  pakaḌ  leñ  na  masā.il
har  shaḳhs  isī  ḳhauf  se  ujlat  meñ  milā  hai
kuchh  aur  Thahar  jaao  sar-e-kū-e-tamannā
ye  hukm  mujhe  lamha-e-hijrat  meñ  milā  hai
ādāb  kiyā  jaa.e  kise  kitne  adab  se
ye  fan  mujhe  barsoñ  kī  riyāzat  meñ  milā  hai
sayyād  ne  lagtā  hai  ki  fitrat  hī  badal  dī
har  phuul  mujhe  ḳhaar  kī  sūrat  meñ  milā  hai