koī  saaya  na  shajar  yaad  aayā
thak  ga.e  paañv  to  ghar  yaad  aayā
khil  uThe  phuul  se  sahrāoñ  meñ
phir  vo  firdaus-e-nazar  yaad  aayā
phir  mire  paañv  meñ  zanjīr  paḌī
phir  tirā  hukm-e-safar  yaad  aayā
lauT  jaane  ko  bahut  dil  machlā
kyā  pas-e-gard-e-safar  yaad  aayā
saarī  ummīdoñ  ne  dam  toḌ  diyā
naḳhl-e-be-barg-o-samar  yaad  aayā
laakh  chāhā  thā  ki  vo  chashm-e-ġhazāl
phir  na  yaad  aa.e  magar  yaad  aayā
ḳhvāb  aur  ālam-e-bedārī  meñ
ret  par  ret  kā  ghar  yaad  aayā
marsiya  din  kā  likhā  thā  'rāshid'
shab  ko  unvān-e-sahar  yaad  aayā