ashk  bahāo  aah  bharo  fariyād  karo
kuchh  to  qafas  meñ  shikva-e-istibdād  karo
har-sū  marg-āsār  ḳhamoshī  chhā.ī  hai
dard  ke  maaro  shorish-e-hashr  ījād  karo
sahrā  sahrā  ḳhaak  uḌāne  se  hāsil
qarya  qarya  qasr-e-sitam  barbād  karo
arz-e-tamannā  par  ab  qadġhan  kyā  ma.anī
apne  va.ade  apnī  qasmeñ  yaad  karo
aao  āvāra-o-gurezāñ  ummīdo
ghar  kī  vīrānī  ko  phir  ābād  karo
shauq-e-talab  hī  avval-o-āḳhir  manzil  hai
qais  bano  yā  pairvī-e-farhād  karo
auroñ  ko  tarġhīb-e-tarab  dene  vaalo
ham  aise  durveshoñ  ko  bhī  shaad  karo