muddat  se  DhūñDtī  hai  kisī  kī  nazar  mujhe
maiñ  kis  maqām  par  huuñ  nahīñ  hai  ḳhabar  mujhe
āvārgī  uḌaa.e  phirī  misl-e-bū-e-gul
koī  pukārtā  hī  rahā  umr  bhar  mujhe
yuuñ  jā  rahā  huuñ  jaise  na  ā.ūñgā  phir  kabhī
muḌ  muḌ  ke  dekhtī  hai  tirī  rahguzar  mujhe
kyā  jaane  kis  ḳhayāl  se  chehra  damak  uThā
maiñ  chāra-gar  ko  dekhtā  huuñ  chāra-gar  mujhe
ahd-e-ḳhizāñ  bahār  kī  rut  naam  haiñ  faqat
kyā  baat  kah  ga.ī  hai  nasīm-e-sahar  mujhe
manzil  pe  aa  ke  'shād'  ajab  hādisa  huā
maiñ  ham-safar  ko  bhuul  gayā  ham-safar  mujhe