hijr  kī  aag  meñ  azaab  meñ  na  de
misl-e-sīmāb  iztirāb  na  de
sandalī  husn  hai  tirā  darkār
dard-e-sar  kuuñ  mire  gulāb  na  de
bas  tirā  daur-e-chashm  ai  saaqī
hosh  khone  mujhe  sharāb  na  de
zāhid-e-ḳhushk  kuuñ  sharāb  na  de
aag  de  ḳhār-o-ḳhas  ko  aab  na  de
apne  māroñ  ko  mat  pareshāñ  kar
zulf-e-mushkīñ  kuuñ  pech-o-tāb  na  de
āshiqoñ  kuuñ  hai  lazzat-e-dushnām
har  kamīne  kuuñ  ye  ḳhitāb  na  de
kis  ne  ai  bahr-e-husn  tujh  kuuñ  kahā
ki  kisī  tishna-lab  kuuñ  aab  na  de
kaam  jāhil  kā  hai  suḳhan-chīnī
ai  'sirāj'  us  kuuñ  tū  javāb  na  de