kyā  balā  kā  hai  nasha  ishq  ke  paimāne  meñ
koī  hoshiyār  nahīñ  aql  ke  kāshāne  meñ
Duub  jaatā  hai  mirā  jī  jo  kahūñ  qissa-e-dard
niiñd  aatī  hai  mujhī  kuuñ  mire  afsāne  meñ
dil  mirā  zulf  kī  zanjīr  siiñ  hai  baazī  meñ
apne  is  kaam  kā  kyā  hosh  hai  dīvāne  meñ
kyā  maze  kā  hai  tire  seb-e-zanaḳhdāñ  kā  ḳhaal
lazzat-e-meva-e-firdaus  hai  is  daane  meñ
is  adab-gāh  kuuñ  tuuñ  masjid  jāma.a  mat  bojh
shaiḳh  be-bāk  na  jā  gosha-e-mai-ḳhāne  meñ
aañkh  uThāte  hī  mire  haath  siiñ  mujh  kuuñ  le  ga.e
ḳhuub  ustād  ho  tum  jaan  ke  le  jaane  meñ
ḳhush  huuñ  maiñ  sohbat-e-majnūñ  siiñ  na  liyo  aql  kā  naam
āshnā.ī  kī  kahāñ  baas  hai  begāne  meñ
sho.ala  hai  āb-e-hayāt-e-dil-e-mushtāq  'sirāj'
is  samundar  siiñ  baḌā  farq  hai  parvāne  meñ