terī  bhañvoñ  kī  teġh  ke  jo  rū-ba-rū  huā
sab  āshiqoñ  kī  saf  meñ  vo  hī  surḳh-rū  huā
tujh  zulf  ke  ḳhayāl  siiñ  kyūñkar  nikal  sakūñ
har  pech-o-ḳham  namūna-e-tauq-e-gulū  huā
tere  nigah  kā  tiir  hai  az-bas-ke  mūshigāf
mamnūñ  har  ek  zaḳhm  siiñ  maiñ  hū-ba-hū  huā
rishte  siiñ  mauj-e-gul  kī  havā-e-bahār  meñ
sab  bulbuloñ  kā  chāk-garebāñ  rafū  huā
sūraj  kā  rañg  chāñd  sirī  kā  huā  safed
jis  sub.h  kuuñ  savār  vo  ḳhurshīd-rū  huā
jis  kī  zabāñ  meñ  ishq  ke  afsūñ  kā  hai  asar
har  harf  us  kā  mauj-e-parī  hū-ba-hū  huā
barjā  hai  gar  kahūñ  maiñ  use  shīsha  ātishī
chashm-e-'sirāj'  ā.īna-sho.ala-rū  huā