tere  husn  kī  ḳhair  banā  de  ik  din  kā  sultān  mujhe
āñkhoñ  ko  bas  dekhne  de  aur  hoñToñ  se  pahchān  mujhe
vasl  meñ  us  ke  mar  jaane  kī  hasrat  mere  dil  meñ  hai
aur  bichhaḌ  kar  jiine  kā  bhī  baaqī  hai  armān  mujhe
ḳhuun  ragoñ  meñ  ruk  jā.egā  lekin  saañs  na  ukhḌegī
kis  ko  bhuul  ke  ḳhush  baiThā  huuñ  jab  aa.egā  dhyān  mujhe
maiñ  huuñ  ek  aur  biis  sadī  kā  merī  maañg  malañgoñ  sī
har  ik  pal  kī  ḳhabar  bhī  de  aur  barsoñ  kā  sāmān  mujhe
kaise  phuul  aur  kaun  se  kāñTe  yaad  kī  jholī  ḳhālī  hai
ab  to  'tasavvur'  lagne  lagā  hai  vīrāna  vīrān  mujhe